Friday 10 February 2012

Ek ghar khwabon ka....

Aisa Hee Ek Aashiyan Banaya Hei Mene Khwabon Mein
Chota Sa Ek Ghar Ho Haree Bharee Vadiyon Mein
Ghira Ho Jo Sab Taraf Se Unche Unche Chinar Se
Bus Ek Pagdandi Chotee See Milati Ho Us Paar Se
Aisa Hee Ek Aashiiaan Banaya....
Dhoop Jahan Pedon Se Lad Kar Aati Ho Mujh Se Milne
Mausam Mujhe Rijhane Ko Karte Hon Khel Itne
Dastak Hoti Ho Darwaze Pe Sirf Hawa Ke Tej Chalne Se
Kabhi Kuch Bhed Nazar Ati Hon Rasta Bhatak Jane Se
Aisa Hee Ek Aashiiaan Banaya....
Behta Ho Ek Jharna Kuch Itne Kareeb Se
Mehak Utthe Ghar Mera Uske Sangeet Se
Rasoi Se Nikalta Dhuan Jab Chootta Ho Aasman
Us Paar Base Logon Ko Karta Ho Aag Aag
Aisa Hee Ek Aashiiaan Banaya....
Mehboob Ke Daman Me Jahan Milta Ho Itna Pyar
Na Koi Dar Ho Kisi Ka Karte Hue Izhaar
Unki Diwangi Me Hee KatTein Hon Din Aur Raat
Bas Takte RahTe Ho Unko Subah Aur Shaam
Aisa Hee Ek Aashiiaan Banaya....

No comments:

Post a Comment